kuchh aise dard bhi KHu-e-kamal tak aae
kuchh aise dard bhī ḳhū-e-kamāl tak aa.e
asar shaguftagī-e-ḳhāl-ḳhāl tak aa.e
kisī ke haath hī raazī na the rafū ke liye
vagarna zaḳhm had-e-indimāl tak aa.e
hai ab ravānī-e-ġham mauj mauj ik jaisī
ham apnī aañkh se dariyā ke haal tak aa.e
kalī chaTaḳh ke laboñ ke mizāj tak pahuñchī
gulāb Tuut ke surḳhī-e-gāl tak aa.e
maiñ vo shajar huuñ du'ā.eñ bachā ga.iiñ jis ko
kulhāḌe yuuñ to bahut Daal Daal tak aa.e
kuchh aise dard bhi KHu-e-kamal tak aae
asar shaguftagi-e-KHal-KHal tak aae
kisi ke hath hi raazi na the rafu ke liye
wagarna zaKHm had-e-indimal tak aae
hai ab rawani-e-gham mauj mauj ek jaisi
hum apni aankh se dariya ke haal tak aae
kali chaTaKH ke labon ke mizaj tak pahunchi
gulab Tut ke surKHi-e-gal tak aae
main wo shajar hun du'aen bacha gain jis ko
kulhaDe yun to bahut Dal Dal tak aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.