kuchh aise hausle hain zindagi ke
kuchh aise hausle haiñ zindagī ke
maze aane lage haiñ jaañ kanī ke
koī bhī mas.ala suljhā nahīñ hai
kuchh aise haiñ masā.il zindagī ke
purānī iiñT har ik gir rahī hai
har ik ghar hai bahāo meñ nadī ke
vaz.a-dārān-e-nafrat uTh rahe haiñ
na.e imkān haiñ ab dostī ke
hamārī saḳht-jānī kaam aa.ī
havā dushman hai dar-pa.e-dostī ke
kuchh aise hausle hain zindagi ke
maze aane lage hain jaan kani ke
koi bhi masala suljha nahin hai
kuchh aise hain masail zindagi ke
purani inT har ek gir rahi hai
har ek ghar hai bahao mein nadi ke
waza-daran-e-nafrat uTh rahe hain
nae imkan hain ab dosti ke
hamari saKHt-jaani kaam aai
hawa dushman hai dar-pae-dosti ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.