kuchh aise ki hai ada rasm-e-bandagi maine
kuchh aise kī hai adā rasm-e-bandagī maiñ ne
guzār dī tire va.ade pe zindagī maiñ ne
uḌā ke dhajjiyāñ dāman kī kartā kyoñ rusvā
junūñ meñ kī na gavāra darindagī maiñ ne
zarā bhī shikva-e-jaur-o-jafā nahīñ lab par
tirī razā ko jo samjhā hai bandagī maiñ ne
aziiz jaan se zyāda mujhe hai ye ġham dost
ki ġham meñ paa.ī hai ik sharh-e-zindagī maiñ ne
huzūr-e-husn huā hai ye vāqi.a aksar
havās-o-hosh kī dekhī parindagī maiñ ne
ziyā-e-mehr-e-hidāyat kī tābisheñ le kar
jalā dī kufr-o-zalālat kī gandagī maiñ ne
misāl-e-lāla-o-sahrā saham saham ke rahā
hujūm-e-ḳhār meñ kaaTī hai zindagī maiñ ne
lagā.eñ kufr ke fatve hazār ahl-e-ḳhirad
kiyā hai pesh-e-sanam ahd-e-bandagī maiñ ne
na milne par bhī use 'aish' pyaar kartā huuñ
yuuñ ūñchā kar diyā me.ār-e-zindagī maiñ ne
kuchh aise ki hai ada rasm-e-bandagi main ne
guzar di tere wade pe zindagi main ne
uDa ke dhajjiyan daman ki karta kyon ruswa
junun mein ki na gawara darindagi main ne
zara bhi shikwa-e-jaur-o-jafa nahin lab par
teri raza ko jo samjha hai bandagi main ne
aziz jaan se zyaada mujhe hai ye gham dost
ki gham mein pai hai ek sharh-e-zindagi main ne
huzur-e-husn hua hai ye waqia aksar
hawas-o-hosh ki dekhi parindagi main ne
ziya-e-mehr-e-hidayat ki tabishen le kar
jala di kufr-o-zalalat ki gandagi main ne
misal-e-lala-o-sahra saham saham ke raha
hujum-e-KHar mein kaTi hai zindagi main ne
lagaen kufr ke fatwe hazar ahl-e-KHirad
kiya hai pesh-e-sanam ahd-e-bandagi main ne
na milne par bhi use 'aish' pyar karta hun
yun uncha kar diya mear-e-zindagi main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.