kuchh aise raston se ishq ka safar jae
kuchh aise rāstoñ se ishq kā safar jaa.e
tumhārā hijr bahut duur se guzar jaa.e
udāsiyoñ se bharī kachchī umr kī ye nasl
jo shā.erī na kare to dukhoñ se mar jaa.e
pachās logoñ se vo roz miltī hai aur maiñ
kisī ko dekh luuñ to us kā muñh utar jaa.e
ghaTā chhaTe to dikhe chāñd bhī sitāre bhī
jo tum haTo to kisī aur par nazar jaa.e
hazār saal meñ tayyār hone vaalā mard
us ek god meñ sar rakhte hī bikhar jaa.e
maiñ us badan se sabhī pairahan utārūñ aur
añdherā jism pe kapḌe kā kaam kar jaa.e
merī havas ko koī dūsrā mayassar ho
tumhārā husn kisī aur se sañvar jaa.e
kuchh aise raston se ishq ka safar jae
tumhaara hijr bahut dur se guzar jae
udasiyon se bhari kachchi umr ki ye nasl
jo shaeri na kare to dukhon se mar jae
pachas logon se wo roz milti hai aur main
kisi ko dekh lun to us ka munh utar jae
ghaTa chhaTe to dikhe chand bhi sitare bhi
jo tum haTo to kisi aur par nazar jae
hazar sal mein tayyar hone wala mard
us ek god mein sar rakhte hi bikhar jae
main us badan se sabhi pairahan utarun aur
andhera jism pe kapDe ka kaam kar jae
meri hawas ko koi dusra mayassar ho
tumhaara husn kisi aur se sanwar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.