kuchh aisi choT lagi aagahi ke chehre se
kuchh aisī choT lagī āgahī ke chehre se
lahū Tapakne lagā aadmī ke chehre se
hamāre chehre pe apne nuqūsh mat DhūñDo
kisī kā chehra milā hai kisī ke chehre se
ye zard sahme hue muzmahil udās-o-hazīñ
milā ke dekho inheñ zindagī ke chehre se
zabāñ pe jo bhī hai us ke ḳhilāf hai dil meñ
ye baat samjhī ga.ī aap hī ke chehre se
vo ek chehra jo āñkhoñ meñ bas gayā hai mirī
ḳhulūs maañg rahā thā galī ke chehre se
kuchh aisi choT lagi aagahi ke chehre se
lahu Tapakne laga aadmi ke chehre se
hamare chehre pe apne nuqush mat DhunDo
kisi ka chehra mila hai kisi ke chehre se
ye zard sahme hue muzmahil udas-o-hazin
mila ke dekho inhen zindagi ke chehre se
zaban pe jo bhi hai us ke KHilaf hai dil mein
ye baat samjhi gai aap hi ke chehre se
wo ek chehra jo aankhon mein bas gaya hai meri
KHulus mang raha tha gali ke chehre se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.