kuchh akeli nahin meri qismat
kuchh akelī nahīñ merī qismat
ġham ko bhī saath lagā lagā.ī hai
muntazir der se the tum mere
ab jo tashrīf sabā laa.ī hai
nig.hat-e-zulf ġhubār-e-rah-e-dost
āḳhir us kūche se kyā laa.ī hai
maut bhī ruuTh ga.ī thī mujh se
ye shab-e-hijr manā laa.ī hai
mujh ko le jā ke mirī aañkh vahāñ
ik tamāshā sā dikhā laa.ī hai
aah ko sū-e-asar bhejā thā
vaañ se kyā jāniye kyā laa.ī hai
'shiblī'-e-zār se kah de koī
muzhda-e-vasl sabā laa.ī hai
kuchh akeli nahin meri qismat
gham ko bhi sath laga lagai hai
muntazir der se the tum mere
ab jo tashrif saba lai hai
nighat-e-zulf ghubar-e-rah-e-dost
aaKHir us kuche se kya lai hai
maut bhi ruTh gai thi mujh se
ye shab-e-hijr mana lai hai
mujh ko le ja ke meri aankh wahan
ek tamasha sa dikha lai hai
aah ko su-e-asar bheja tha
wan se kya jaaniye kya lai hai
'shibli'-e-zar se kah de koi
muzhda-e-wasl saba lai hai
- Book : kalam-e-shibli (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.