kuchh apna aashna kyun ai dil-e-nadan nahin hota
kuchh apnā āshnā kyuuñ ai dil-e-nādāñ nahīñ hotā
ki aa.e ye rañg gardish-e-daurāñ nahīñ hotā
ḳhushī ke vāste paidā huā hai kaun duniyā meñ
magar ham bhī ahl-e-dard ke shāyāñ nahīñ hotā
kabhī pābandiyoñ se chhuT ke bhī dam ghulne lagtā hai
dar-o-dīvār huuñ jis meñ vahī zindāñ nahīñ hotā
vahī hai misr meñ har kūcha-o-bāzār kī raunaq
magar har bikne vaalā yūsuf-e-kan.āñ nahīñ hotā
kabhī tañg aa ke us ke husn se inkār bhī kar le
koī be-kufr ke shā.ista-e-īmāñ nahīñ hotā
yaqīñ laa.eñ to kyā laa.eñ jo shak laa.eñ to kyā laa.eñ
ki bātoñ meñ tirī sach jhuuT kā imkāñ nahīñ hotā
hamārā tajraba ye hai ki ḳhush honā mohabbat meñ
kabhī mushkil nahīñ hotā kabhī āsāñ nahīñ hotā
ye vo parda hai jo doshīzgī ko aur chamkā de
siyah-kārī se husn ālūda-e-isyāñ nahīñ hotā
nigāh-e-ahl-e-dil se inqalāb aa.e haiñ duniyā meñ
yaqīñ rakh ishq itnā be-sar-o-sāmāñ nahīñ hotā
'firāq' ik ik se baḌh kar chāra-sāz-e-dard haiñ lekin
ye duniyā hai yahāñ har dard kā darmāñ nahīñ hotā
kuchh apna aashna kyun ai dil-e-nadan nahin hota
ki aae ye rang gardish-e-dauran nahin hota
KHushi ke waste paida hua hai kaun duniya mein
magar hum bhi ahl-e-dard ke shayan nahin hota
kabhi pabandiyon se chhuT ke bhi dam ghulne lagta hai
dar-o-diwar hun jis mein wahi zindan nahin hota
wahi hai misr mein har kucha-o-bazar ki raunaq
magar har bikne wala yusuf-e-kanan nahin hota
kabhi tang aa ke us ke husn se inkar bhi kar le
koi be-kufr ke shaista-e-iman nahin hota
yaqin laen to kya laen jo shak laen to kya laen
ki baaton mein teri sach jhuT ka imkan nahin hota
hamara tajraba ye hai ki KHush hona mohabbat mein
kabhi mushkil nahin hota kabhi aasan nahin hota
ye wo parda hai jo doshizgi ko aur chamka de
siyah-kari se husn aaluda-e-isyan nahin hota
nigah-e-ahl-e-dil se inqalab aae hain duniya mein
yaqin rakh ishq itna be-sar-o-saman nahin hota
'firaq' ek ek se baDh kar chaara-saz-e-dard hain lekin
ye duniya hai yahan har dard ka darman nahin hota
- Book : Irtiqa, 36 Firaaq No. (Pg. 436)
- Author : Hasan Abid, Wahid Bashiir, Rahat Sayeed,
- Publication : Irtiqa Matbuaat, Karachi, (pakistan)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.