kuchh apna pata de kar hairan bahut rakkha
kuchh apnā pata de kar hairān bahut rakkhā
sargarmi-e-vahshat kā imkān bahut rakkhā
aisā to na thā mushkil ik ek qadam uThnā
is baar ajab maiñ ne sāmān bahut rakkhā
parbat ke kināre se ik raah nikaltī hai
dikhlāyā bahut mushkil āsān bahut rakkhā
kyā farz thā har ik ko ḳhushbū kā pata denā
bas bāġh-e-mohabbat ko vīrān bahut rakkhā
logoñ ne bahut chāhā apnā sā banā Dāleñ
par ham ne ki apne ko insān bahut rakkhā
kuchh apna pata de kar hairan bahut rakkha
sargarmi-e-wahshat ka imkan bahut rakkha
aisa to na tha mushkil ek ek qadam uThna
is bar ajab main ne saman bahut rakkha
parbat ke kinare se ek rah nikalti hai
dikhlaya bahut mushkil aasan bahut rakkha
kya farz tha har ek ko KHushbu ka pata dena
bas bagh-e-mohabbat ko viran bahut rakkha
logon ne bahut chaha apna sa bana Dalen
par hum ne ki apne ko insan bahut rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.