kuchh apni fikr na apna KHayal karta hun
kuchh apnī fikr na apnā ḳhayāl kartā huuñ
to kyā ye kam hai tirī dekh-bhāl kartā huuñ
mirī jagah pe koī aur ho to chīḳh uTThe
maiñ apne aap se itne savāl kartā huuñ
agar malāl kisī ko nahīñ mirā na sahī
maiñ ḳhud bhī kaun sā apnā malāl kartā huuñ
ye chāñd aur sitāre rafīq haiñ mere
maiñ roz in se bayāñ apnā haal kartā huuñ
tumhārī yaad bhī aatī hai ab mujhe kam kam
tumhārā zikr bhī ab ḳhāl-ḳhāl kartā huuñ
kuchh apni fikr na apna KHayal karta hun
to kya ye kam hai teri dekh-bhaal karta hun
meri jagah pe koi aur ho to chiKH uTThe
main apne aap se itne sawal karta hun
agar malal kisi ko nahin mera na sahi
main KHud bhi kaun sa apna malal karta hun
ye chand aur sitare rafiq hain mere
main roz in se bayan apna haal karta hun
tumhaari yaad bhi aati hai ab mujhe kam kam
tumhaara zikr bhi ab KHal-KHal karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.