kuchh aur dil-lagi nahin us bad-nasib se
kuchh aur dil-lagī nahīñ us bad-nasīb se
ham jānte haiñ khelte ho tum raqīb se
maiñ bad-gumāniyoñ kā bhī mamnūn ho gayā
vo haal pūchh lete haiñ merā tabīb se
dushman banā.e haiñ mirī qismat ne saiñkaḌoñ
chāhā hai tujh ko ḳhalq ne mere nasīb se
ai nāseh-e-shafīq rahe kuchh to chheḌ-chhāḌ
zikr-e-habīb kam nahīñ vasl-e-habīb se
mānind-e-barq misl-e-havā sūrat-e-nigāh
aksar nikal ga.e haiñ vo mere qarīb se
pūchho janāb-e-'dāġh' kī ham se sharārateñ
kyā sar jhukā.e baiThe haiñ hazrat ġharīb se
kuchh aur dil-lagi nahin us bad-nasib se
hum jaante hain khelte ho tum raqib se
main bad-gumaniyon ka bhi mamnun ho gaya
wo haal puchh lete hain mera tabib se
dushman banae hain meri qismat ne sainkaDon
chaha hai tujh ko KHalq ne mere nasib se
ai naseh-e-shafiq rahe kuchh to chheD-chhaD
zikr-e-habib kam nahin wasl-e-habib se
manind-e-barq misl-e-hawa surat-e-nigah
aksar nikal gae hain wo mere qarib se
puchho janab-e-'dagh' ki hum se shararaten
kya sar jhukae baiThe hain hazrat gharib se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.