kuchh aur zamana kahta hai kuchh aur hai zid mere dil ki
kuchh aur zamāna kahtā hai kuchh aur hai zid mere dil kī
maiñ baat zamāne kī mānūñ yā baat sunūñ apne dil kī
duniyā ne hameñ be-rahmī se Thukrā jo diyā achchhā hī kiyā
nādāñ ham samjhe baiThe the nibhtī hai yahāñ dil se dil kī
insāf mohabbat sachchā.ī vo rahm-o-karam ke dikhlāve
kuchh kahte zabāñ sharmātī hai pūchho na jalan mere dil kī
jo bastī hai insānoñ kī insān magar DhūñDhe na milā
patthar ke butoñ se kyā kiije fariyād bhalā TuuTe dil kī
kuchh aur zamana kahta hai kuchh aur hai zid mere dil ki
main baat zamane ki manun ya baat sunun apne dil ki
duniya ne hamein be-rahmi se Thukra jo diya achchha hi kiya
nadan hum samjhe baiThe the nibhti hai yahan dil se dil ki
insaf mohabbat sachchai wo rahm-o-karam ke dikhlawe
kuchh kahte zaban sharmati hai puchho na jalan mere dil ki
jo basti hai insanon ki insan magar DhunDhe na mila
patthar ke buton se kya kije fariyaad bhala TuTe dil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.