kuchh barae saqi-e-gulfam pi leta hun main
kuchh barā.e sāqī-e-gulfām pī letā huuñ maiñ
kuchh ba-isrār-e-lab-e-mādām pī letā huuñ maiñ
kuchh ba-nām-e-'ġhālib'-o-'josh'-o-'jigar' 'faiz'-o-'adam'
kuchh bayād-e-hāfiz-o-ḳhayyām pī letā huuñ maiñ
az-sar-e-nau sar pe bāloñ ko ugāne ke liye
hasb-e-nusḳha roġhan-e-bādām pī letā huuñ maiñ
mai-kade meñ jab bhī piitā huuñ kabhī zāhid ke saath
bil adā kartā hai vo be-dām pī letā huuñ maiñ
vādī-e-kashmīr kī rañgīniyoñ kī yaad meñ
chaa.e ke uble gulābī jaam pī letā huuñ maiñ
jab kabhī bulbul mujhe hotā hai nazla aur zukām
bas zarā do ghūñT vaqt-e-shām pī letā huuñ maiñ
kuchh barae saqi-e-gulfam pi leta hun main
kuchh ba-israr-e-lab-e-madam pi leta hun main
kuchh ba-nam-e-'ghaalib'-o-'josh'-o-'jigar' 'faiz'-o-'adam'
kuchh bayaad-e-hafiz-o-KHayyam pi leta hun main
az-sar-e-nau sar pe baalon ko ugane ke liye
hasb-e-nusKHa roghan-e-baadam pi leta hun main
mai-kade mein jab bhi pita hun kabhi zahid ke sath
bil ada karta hai wo be-dam pi leta hun main
wadi-e-kashmir ki ranginiyon ki yaad mein
chae ke uble gulabi jam pi leta hun main
jab kabhi bulbul mujhe hota hai nazla aur zukaam
bas zara do ghunT waqt-e-sham pi leta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.