kuchh bayan kar di haqiqat kuchh chhupai sath mein
kuchh bayan kar di haqiqat kuchh chhupai sath mein
Satya Prakash Soni
MORE BYSatya Prakash Soni
kuchh bayāñ kar dī haqīqat kuchh chhupā.ī saath meñ
shā'irī aur naukrī donoñ nibhā.ī saath meñ
maiñ usī din se suḳhanvar naam se jaanā gayā
ik ġhazal us ne bhī merī gungunā.ī saath meñ
ek duuje kī nazar kā sāmnā na kar sake
sāmne aa.e to phir nazreñ jhukā.ī saath meñ
dekhnā sūkhī huī kaliyāñ kitāboñ meñ chhupī
aur phir karnī paḌī ham ko paḌhā.ī saath meñ
vo hathelī ḳhvāb meñ merī hathelī meñ rahī
raat bhar aatī rahī ḳhushbū hinā.ī saath meñ
kuchh bayan kar di haqiqat kuchh chhupai sath mein
sha'iri aur naukri donon nibhai sath mein
main usi din se suKHanwar nam se jaana gaya
ek ghazal us ne bhi meri gungunai sath mein
ek duje ki nazar ka samna na kar sake
samne aae to phir nazren jhukai sath mein
dekhna sukhi hui kaliyan kitabon mein chhupi
aur phir karni paDi hum ko paDhai sath mein
wo hatheli KHwab mein meri hatheli mein rahi
raat bhar aati rahi KHushbu hinai sath mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.