kuchh bhi aisa nahin jo bas mein hai
kuchh bhī aisā nahīñ jo bas meñ hai
ab rihā.ish mirī qafas meñ hai
tan meñ harakat sakat nahīñ koī
aur na āvāz tak nafas meñ hai
ḳhushbueñ ye vilāyatī kaisī
baat kuchh aur itr-e-ḳhas meñ hai
mo'tarif ruuh terī azmat kī
naam terā har ek nas meñ hai
anginat ḳhūbiyāñ gulāboñ meñ
rang meñ haiñ mahak meñ ras meñ hai
kuchh bhi aisa nahin jo bas mein hai
ab rihaish meri qafas mein hai
tan mein harakat sakat nahin koi
aur na aawaz tak nafas mein hai
KHushbuen ye wilayati kaisi
baat kuchh aur itr-e-KHas mein hai
mo'tarif ruh teri azmat ki
nam tera har ek nas mein hai
anginat KHubiyan gulabon mein
rang mein hain mahak mein ras mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.