kuchh bhi nahin hai pas tumhaari dua to hai
kuchh bhī nahīñ hai paas tumhārī duā to hai
is shahr-e-be-charāġh meñ ik aasrā to hai
hāthoñ meñ mere chāñd sitāre nahīñ to kyā
dil meñ tire yaqīn kā raushan diyā to hai
raste kī mushkiloñ se hirāsāñ hai kis liye
jis kā nahīñ hai koī bhī us kā ḳhudā to hai
kis se chhupā rahā hai tū dil kī kahāniyāñ
vo hāl-e-roz-o-shab se tire āshnā to hai
'anjum' kisī se laakh bahāne kare magar
lekin bichhaḌ ke tujh se vo bikhrā huā to hai
kuchh bhi nahin hai pas tumhaari dua to hai
is shahr-e-be-charagh mein ek aasra to hai
hathon mein mere chand sitare nahin to kya
dil mein tere yaqin ka raushan diya to hai
raste ki mushkilon se hirasan hai kis liye
jis ka nahin hai koi bhi us ka KHuda to hai
kis se chhupa raha hai tu dil ki kahaniyan
wo haal-e-roz-o-shab se tere aashna to hai
'anjum' kisi se lakh bahane kare magar
lekin bichhaD ke tujh se wo bikhra hua to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.