kuchh bhi nahin raha hai ahd-e-wafa ki tha
kuchh bhī nahīñ rahā hai ahd-e-vafā ki thā
dillī jo shahr-e-dil thā jo kuchh bhī thā ki thā
sābit nahīñ kisī se ik zāviya ki thā
sābit kī har kamī se sābit huā ki thā
sab ko milā masīhā sab se nahīñ milā
kuchh kā taḌap ke marnā ik faisla ki thā
jab bhī vahī ḳhudā thā ab bhī vahī ḳhudā
ik thā ḳhudā nahīñ thā ik hai ḳhudā ki thā
jaate haiñ sab falak ko aa.e falak se kuchh
ik silsila hai jaarī ik silsila ki thā
āñkheñ bhī raqs meñ thiiñ ruumī bhī raqs meñ
bas raqs rah gayā hai ik falsafa ki thā
terā sarāb-chehra sahrā-e-vaqt meñ
lagtā rahā nahīñ hai dikhtā rahā ki thā
maddham sī raushnī thī halkā sā chāñd thā
dil ko sukūn 'āmir' aañsū bahā ki thā
kuchh bhi nahin raha hai ahd-e-wafa ki tha
dilli jo shahr-e-dil tha jo kuchh bhi tha ki tha
sabit nahin kisi se ek zawiya ki tha
sabit ki har kami se sabit hua ki tha
sab ko mila masiha sab se nahin mila
kuchh ka taDap ke marna ek faisla ki tha
jab bhi wahi KHuda tha ab bhi wahi KHuda
ek tha KHuda nahin tha ek hai KHuda ki tha
jate hain sab falak ko aae falak se kuchh
ek silsila hai jari ek silsila ki tha
aankhen bhi raqs mein thin rumi bhi raqs mein
bas raqs rah gaya hai ek falsafa ki tha
tera sarab-chehra sahra-e-waqt mein
lagta raha nahin hai dikhta raha ki tha
maddham si raushni thi halka sa chand tha
dil ko sukun 'amir' aansu baha ki tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.