kuchh chup hain aaina jo wo har bar dekh kar
kuchh chup hain aaina jo wo har bar dekh kar
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
kuchh chup haiñ aa.ina jo vo har baar dekh kar
kuḌhte haiñ apnī chashm ko bīmār dekh kar
āsāñ nahīñ mu'āmla us puḳhta-kār se
letā hai jins-e-dil ko bhī sau baar dekh kar
nāzāñ hai apnī quvvat-e-bāzū pe kis qadar
paikāñ kī jā vo siine meñ sūfār dekh kar
rote haiñ apne haal pe phir kyuuñ ye nā-sipās
kahtā hai merī chashm-e-guhar-bār dekh kar
'ārif' bhare hue haiñ mazāmīn-e-dard-o-ġham
ḳhush hove kyā koī mire ash’ār dekh kar
kuchh chup hain aaina jo wo har bar dekh kar
kuDhte hain apni chashm ko bimar dekh kar
aasan nahin mu'amla us puKHta-kar se
leta hai jins-e-dil ko bhi sau bar dekh kar
nazan hai apni quwwat-e-bazu pe kis qadar
paikan ki ja wo sine mein sufar dekh kar
rote hain apne haal pe phir kyun ye na-sipas
kahta hai meri chashm-e-guhar-bar dekh kar
'arif' bhare hue hain mazamin-e-dard-o-gham
KHush howe kya koi mere ash’ar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.