kuchh der sadgi ke tasawwur se haT ke dekh
kuchh der sādgī ke tasavvur se haT ke dekh
likkhā huā varaq huuñ mujhe phir ulaT ke dekh
maanā ki tujh se koī ta.alluq nahīñ magar
ik baar dushmanoñ kī tarah hī palaT ke dekh
phir pūchhnā ki kaise bhaTaktī hai zindagī
pahle kisī patañg kī mānind kaT ke dekh
tā umr phir na hogī ujāloñ kī aarzū
tū bhī kisī charāġh kī lau se lipaT ke dekh
sajde tujhe karegī kisī roz ḳhud hayāt
bāñhoñ meñ hādsāt-e-jahāñ kī simaT ke dekh
tanhā.iyoñ meñ saikḌoñ sāthī bhī haiñ 'nazīr'
hai shart apnī zaat ke hissoñ meñ baT ke dekh
kuchh der sadgi ke tasawwur se haT ke dekh
likkha hua waraq hun mujhe phir ulaT ke dekh
mana ki tujh se koi talluq nahin magar
ek bar dushmanon ki tarah hi palaT ke dekh
phir puchhna ki kaise bhaTakti hai zindagi
pahle kisi patang ki manind kaT ke dekh
ta umr phir na hogi ujalon ki aarzu
tu bhi kisi charagh ki lau se lipaT ke dekh
sajde tujhe karegi kisi roz KHud hayat
banhon mein hadsat-e-jahan ki simaT ke dekh
tanhaiyon mein saikDon sathi bhi hain 'nazir'
hai shart apni zat ke hisson mein baT ke dekh
- Book : Etemaad (Pg. 44)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.