kuchh din se intizar-e-sawal-e-digar mein hai
kuchh din se intizār-e-savāl-e-digar meñ hai
vo muzmahil hayā jo kisī kī nazar meñ hai
sīkhī yahīñ mire dil-e-kāfir ne bandagī
rabb-e-karīm hai tū tirī rahguzar meñ hai
maazī meñ jo mazā mirī shām-o-sahar meñ thā
ab vo faqat tasavvur-e-shām-o-sahar meñ hai
kyā jaane kis ko kis se hai ab daad kī talab
vo ġham jo mere dil meñ hai terī nazar meñ hai
kuchh din se intizar-e-sawal-e-digar mein hai
wo muzmahil haya jo kisi ki nazar mein hai
sikhi yahin mere dil-e-kafir ne bandagi
rabb-e-karim hai tu teri rahguzar mein hai
mazi mein jo maza meri sham-o-sahar mein tha
ab wo faqat tasawwur-e-sham-o-sahar mein hai
kya jaane kis ko kis se hai ab dad ki talab
wo gham jo mere dil mein hai teri nazar mein hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 73)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.