kuchh dinon apne ghar raha hun main
kuchh dinoñ apne ghar rahā huuñ maiñ
aur phir dar-ba-dar rahā huuñ maiñ
dūsroñ kī ḳhabar to kyā letā
ḳhud se bhī be-ḳhabar rahā huuñ maiñ
vaqt go ham-safar na thā merā
vaqt kā ham-safar rahā huuñ maiñ
zīna-e-zāt kā safar aur raat
dhīre dhīre utar rahā huuñ maiñ
yak-ba-yak kis tarah badal jā.ūñ
rafta rafta sudhar rahā huuñ maiñ
tū bhī dekhe to ajnabī jaane
ab ke vo svāñg bhar rahā huuñ maiñ
be-haqīqat hai shor-e-shahr ki ab
gungunātā guzar rahā huuñ maiñ
aag hai aur sulag rahī hai hayāt
raakh huuñ aur bikhar rahā huuñ maiñ
kuchh dinon apne ghar raha hun main
aur phir dar-ba-dar raha hun main
dusron ki KHabar to kya leta
KHud se bhi be-KHabar raha hun main
waqt go ham-safar na tha mera
waqt ka ham-safar raha hun main
zina-e-zat ka safar aur raat
dhire dhire utar raha hun main
yak-ba-yak kis tarah badal jaun
rafta rafta sudhar raha hun main
tu bhi dekhe to ajnabi jaane
ab ke wo swang bhar raha hun main
be-haqiqat hai shor-e-shahr ki ab
gungunata guzar raha hun main
aag hai aur sulag rahi hai hayat
rakh hun aur bikhar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.