kuchh dinon to shahr sara ajnabi sa ho gaya
kuchh dinoñ to shahr saarā ajnabī sā ho gayā
phir huā yuuñ vo kisī kī maiñ kisī kā ho gayā
ishq kar ke dekhiye apnā to ye hai tajraba
ghar mohalla shahr sab pahle se achchhā ho gayā
qabr meñ haq-goī bāhar manqabat qavvāliyāñ
aadmī kā aadmī honā tamāsha ho gayā
vo hī mūrat vo hī sūrat vo hī qudrat kī tarah
us ko jis ne jaisā sochā vo bhī vaisā ho gayā
kuchh dinon to shahr sara ajnabi sa ho gaya
phir hua yun wo kisi ki main kisi ka ho gaya
ishq kar ke dekhiye apna to ye hai tajraba
ghar mohalla shahr sab pahle se achchha ho gaya
qabr mein haq-goi bahar manqabat qawwaliyan
aadmi ka aadmi hona tamasha ho gaya
wo hi murat wo hi surat wo hi qudrat ki tarah
us ko jis ne jaisa socha wo bhi waisa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.