Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh gharaz wajh muddaa bais

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

kuchh gharaz wajh muddaa bais

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

MORE BYMunshi Debi Parshad Sahar Badayuni

    kuchh ġharaz vaj.h mudda.ā baa.is

    kyuuñ ḳhafā ho ga.e ho kyā baa.is

    mujh se rūThe ho kyuuñ bilā baa.is

    kyā ḳhatā kyā qusūr kyā baa.is

    ab khulā ye ki jaan jaane

    thā sabab dil dil thā baa.is

    maiñ ne chheḌā thā kyuuñ bigaḌte na vo

    ḳhafagī huī ḳhatā baa.is

    maiñ unheñ chāhūñ vo ye ḳhud chāheñ

    koī aisā ho ḳhudā baa.is

    nahīñ milte na miliye bismillāh

    par batā dījiye zarā baa.is

    aaj kyuuñ vo bigaḌ ga.e ham se

    ilāhī na kuchh khulā baa.is

    mar ga.e dekh ham tirā andāz

    hai fazā tirī adā baa.is

    jab kahā maiñ ne aa.iye mire paas

    do ghaḌī ke liye kahā baa.is

    tum hasīñ ho to chāhte haiñ tumheñ

    yahī baa.is hai aur kyā baa.is

    kar liyā kaisā aap ko tasḳhīr

    'sehr' huuñ varna aur kyā baa.is

    kuchh gharaz wajh muddaa bais

    kyun KHafa ho gae ho kya bais

    mujh se ruThe ho kyun bila bais

    kya KHata kya qusur kya bais

    ab khula ye ki jaan jaane ka

    tha sabab dil hi dil hi tha bais

    main ne chheDa tha kyun bigaDte na wo

    KHafagi ki hui KHata bais

    main unhen chahun wo ye KHud chahen

    koi aisa ho ya KHuda bais

    nahin milte na miliye bismillah

    par bata dijiye zara bais

    aaj kyun wo bigaD gae hum se

    ya ilahi na kuchh khula bais

    mar gae dekh hum tera andaz

    hai faza ki teri ada bais

    jab kaha main ne aaiye mere pas

    do ghaDi ke liye kaha bais

    tum hasin ho to chahte hain tumhein

    yahi bais hai aur kya bais

    kar liya kaisa aap ko tasKHir

    'sehr' hun warna aur kya bais

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now