kuchh haqiqat hai kuchh kahani hai
kuchh haqīqat hai kuchh kahānī hai
sirf kahne ko haq-bayānī hai
ishq-e-fānī ravāñ huā jab jab
hasratoñ par chaḌhī javānī hai
naav sāhil pe aa ke Duub ga.ī
nā-ḳhudāoñ kī mehrbānī hai
jo diye oT meñ the vo hī bujhe
ye havāoñ kī pāsbānī hai
zard pattoñ ne muskurā ke kahā
fasl-e-gul hai havā suhānī hai
shaam kī chaa.e un ke saath piyūñ
dil kī hasrat bahut purānī hai
raushnā.ī banā.ī ashkoñ se
merī ġhazloñ meñ ab ravānī hai
kuchh haqiqat hai kuchh kahani hai
sirf kahne ko haq-bayani hai
ishq-e-fani rawan hua jab jab
hasraton par chaDhi jawani hai
naw sahil pe aa ke Dub gai
na-KHudaon ki mehrbani hai
jo diye oT mein the wo hi bujhe
ye hawaon ki pasbani hai
zard patton ne muskura ke kaha
fasl-e-gul hai hawa suhani hai
sham ki chae un ke sath piyun
dil ki hasrat bahut purani hai
raushnai banai ashkon se
meri ghazlon mein ab rawani hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.