kuchh hasinon ki mohabbat bhi buri hoti hai
kuchh hasīnoñ kī mohabbat bhī burī hotī hai
kuchh ye be-chain tabī.at bhī burī hotī hai
jīte-jī mere na aa.e to na aa.e ab aao
kyā shahīdoñ kī ziyārat bhī burī hotī hai
aap kī zid ne mujhe aur pilā.ī hazrat
shaiḳh-jī itnī nasīhat bhī burī hotī hai
us ne dil māñgā to inkār kā pahlū na milā
ḳhāna-barbād muravvat bhī burī hotī hai
ai 'hasan' aap kahāñ aur kahāñ bazm-e-sharāb
pīr-o-murshid burī sohbat bhī burī hotī hai
kuchh hasinon ki mohabbat bhi buri hoti hai
kuchh ye be-chain tabiat bhi buri hoti hai
jite-ji mere na aae to na aae ab aao
kya shahidon ki ziyarat bhi buri hoti hai
aap ki zid ne mujhe aur pilai hazrat
shaiKH-ji itni nasihat bhi buri hoti hai
us ne dil manga to inkar ka pahlu na mila
KHana-barbaad murawwat bhi buri hoti hai
ai 'hasan' aap kahan aur kahan bazm-e-sharab
pir-o-murshid buri sohbat bhi buri hoti hai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 136)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.