kuchh hijr ke mausam ne sataya nahin itna
kuchh hijr ke mausam ne satāyā nahīñ itnā
kuchh ham ne tirā sog manāyā nahīñ itnā
kuchh terī judā.ī kī aziyyat bhī kaḌī thī
kuchh dil ne bhī ġham terā manāyā nahīñ itnā
kyuuñ sab kī tarah bhiig ga.ī haiñ tirī palkeñ
ham ne to tujhe haal sunāyā nahīñ itnā
kuchh roz se dil ne tirī rāheñ nahīñ dekhīñ
kyā baat hai tū yaad bhī aayā nahīñ itnā
kyā jāniye is be-sar-o-sāmāni-e-dil ne
pahle to kabhī ham ko rulāyā nahīñ itnā
kuchh hijr ke mausam ne sataya nahin itna
kuchh hum ne tera sog manaya nahin itna
kuchh teri judai ki aziyyat bhi kaDi thi
kuchh dil ne bhi gham tera manaya nahin itna
kyun sab ki tarah bhig gai hain teri palken
hum ne to tujhe haal sunaya nahin itna
kuchh roz se dil ne teri rahen nahin dekhin
kya baat hai tu yaad bhi aaya nahin itna
kya jaaniye is be-sar-o-samani-e-dil ne
pahle to kabhi hum ko rulaya nahin itna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.