kuchh hunar aur samajhte hain na fan jaante hain
kuchh hunar aur samajhte haiñ na fan jānte haiñ
ham tire zikr ko shāyān-e-suḳhan jānte haiñ
ruuh kī ġhāyat-e-ulvī kā na ho andāza
ham magar maqsad-e-taḳhlīq-e-badan jānte haiñ
isti.āre haiñ tire āriz-o-chashm-o-lab ke
ye hadīs-e-gul-o-shahlā-o-saman jānte haiñ
ye alag baat nahīñ aa.ī zamāna-sāzī
ham magar ḳhuub zamāne kā chalan jānte haiñ
raqs zanjīr ke āhang pe hotā hai sivā
ramz lekin ye kahāñ zamzama-zan jānte haiñ
bāġhbāñ bhī hai tasarruf meñ sharīk-e-gulchīñ
is haqīqat ko koī ahl-e-chaman jānte haiñ
lafz-o-taḳh.īl ko jo kar na sake ham-āhañg
'shaukat' us shaḳhs ko ham fāriġh-e-fan jānte haiñ
kuchh hunar aur samajhte hain na fan jaante hain
hum tere zikr ko shayan-e-suKHan jaante hain
ruh ki ghayat-e-ulwi ka na ho andaza
hum magar maqsad-e-taKHliq-e-badan jaante hain
istiare hain tere aariz-o-chashm-o-lab ke
ye hadis-e-gul-o-shahla-o-saman jaante hain
ye alag baat nahin aai zamana-sazi
hum magar KHub zamane ka chalan jaante hain
raqs zanjir ke aahang pe hota hai siwa
ramz lekin ye kahan zamzama-zan jaante hain
baghban bhi hai tasarruf mein sharik-e-gulchin
is haqiqat ko koi ahl-e-chaman jaante hain
lafz-o-taKHil ko jo kar na sake ham-ahang
'shaukat' us shaKHs ko hum farigh-e-fan jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.