Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh is qadar hai pareshan nafas nafas mera

Munawwar Lakhnavi

kuchh is qadar hai pareshan nafas nafas mera

Munawwar Lakhnavi

MORE BYMunawwar Lakhnavi

    kuchh is qadar hai pareshāñ nafas nafas merā

    maiñ zindagī ko ulaT duuñ chale jo bas merā

    kahāñ kahāñ na gayā hāl-e-dil sunāne ko

    banā na koī kahīñ phir bhī dād-ras merā

    liye phirūñgā hamesha maiñ us ḳhākistar

    rahegā saath mire jal ke bhī qafas merā

    maiñ sochtā huuñ ma.āl-e-hayāt kyā hogā

    bajā hai zabt-e-mohabbat meñ pesh-o-pas merā

    kisī ke saath 'munavvar' kiyā ho kuchh bhī sulūk

    maiñ chāhtā huuñ ki gaa.e na ka.ī jas merā

    kuchh is qadar hai pareshan nafas nafas mera

    main zindagi ko ulaT dun chale jo bas mera

    kahan kahan na gaya haal-e-dil sunane ko

    bana na koi kahin phir bhi dad-ras mera

    liye phirunga hamesha main us ki KHakistar

    rahega sath mere jal ke bhi qafas mera

    main sochta hun maal-e-hayat kya hoga

    baja hai zabt-e-mohabbat mein pesh-o-pas mera

    kisi ke sath 'munawwar' kiya ho kuchh bhi suluk

    main chahta hun ki gae na kai jas mera

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now