kuchh is tarah se basar ki hai zindagi maine
kuchh is tarah se basar kī hai zindagī maiñ ne
ġhamoñ kī chhāñv meñ DhūñDī hai sarḳhushī maiñ ne
jo merī zaat kā sab se baḌā muḳhālif thā
matā'-e-umr usī ko hī baḳhsh dī ham ne
mujhe nikāl diyā us ne dil kī bastī se
ki baat dil kī sar-e-bazm kyuuñ kahī maiñ ne
husūl-e-zar kā jo mauqa' kabhī milā mujh ko
gañvā diyā hai use kar ke shā'irī maiñ ne
har ek shaḳhs mirī dostī kā tālib thā
har ek shaḳhs se lī mol dushmanī maiñ ne
ye merā naam 'munavvar' zarūr hai lekin
kabhī na paa.ī qarīb apne raushnī maiñ ne
kuchh is tarah se basar ki hai zindagi main ne
ghamon ki chhanw mein DhunDi hai sarKHushi main ne
jo meri zat ka sab se baDa muKHalif tha
mata'-e-umr usi ko hi baKHsh di hum ne
mujhe nikal diya us ne dil ki basti se
ki baat dil ki sar-e-bazm kyun kahi main ne
husul-e-zar ka jo mauqa' kabhi mila mujh ko
ganwa diya hai use kar ke sha'iri main ne
har ek shaKHs meri dosti ka talib tha
har ek shaKHs se li mol dushmani main ne
ye mera nam 'munawwar' zarur hai lekin
kabhi na pai qarib apne raushni main ne
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 179)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.