kuchh is tarah teri tafsir kar rahe hain hum
kuchh is tarah tirī tafsīr kar rahe haiñ ham
chhalakte jaam ko tasvīr kar rahe haiñ ham
hamāre bachchoñ ke sar māñgtī haiñ buniyādeñ
ye kaise shahr kī tā'mīr kar rahe haiñ ham
vo duur raah meñ insāñ na jal rahā ho koī
jise charāġh se tā'bīr kar rahe haiñ ham
tum apne zaḳhmoñ kā koī hisāb mat rakhnā
bayāz-e-qalb pe tahrīr kar rahe haiñ ham
tirī ḳhirad ko kisī din jakaḌ ke rakh deñge
abhī junūn ko zanjīr kar rahe haiñ ham
hai kaisā karb ki apnī hī sarzamīn pe 'qais'
difā'-e-sunnat-e-shabbīr kar rahe haiñ ham
kuchh is tarah teri tafsir kar rahe hain hum
chhalakte jam ko taswir kar rahe hain hum
hamare bachchon ke sar mangti hain buniyaaden
ye kaise shahr ki ta'mir kar rahe hain hum
wo dur rah mein insan na jal raha ho koi
jise charagh se ta'bir kar rahe hain hum
tum apne zaKHmon ka koi hisab mat rakhna
bayaz-e-qalb pe tahrir kar rahe hain hum
teri KHirad ko kisi din jakaD ke rakh denge
abhi junun ko zanjir kar rahe hain hum
hai kaisa karb ki apni hi sarzamin pe 'qais'
difa'-e-sunnat-e-shabbir kar rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.