kuchh kar-e-anasir tah-e-dariya bhi ajab hai
kuchh kār-e-anāsir tah-e-dariyā bhī ajab hai
is ḳhaak meñ pinhāñ koī sho.ala bhī ajab hai
duniyā se kuchh aisā bhī nahīñ rabt hamārā
sunte haiñ magar lazzat-e-duniyā bhī ajab hai
hai dil hī kisī ārzū-e-vasl kā maskan
dil kā magar is raah pe aanā bhī ajab hai
vo diid hai ab ālam-e-maujūd se aage
is sā.at-e-mas.ūd kā dhokā bhī ajab hai
tai hotī chalī jaatī hai be-faiz masāfat
is raah meñ dīvār kā aanā bhī ajab hai
khiltā nazar aatā hī nahīñ hai gul-e-umīd
jaatā hī nahīñ dil se ye dhaḌkā bhī ajab hai
is ziist pe sahrā kā gumāñ tak nahīñ hotā
ai naḳhl-e-mohabbat tirā saaya bhī ajab hai
kuchh kar-e-anasir tah-e-dariya bhi ajab hai
is KHak mein pinhan koi shoala bhi ajab hai
duniya se kuchh aisa bhi nahin rabt hamara
sunte hain magar lazzat-e-duniya bhi ajab hai
hai dil hi kisi aarzu-e-wasl ka maskan
dil ka magar is rah pe aana bhi ajab hai
wo did hai ab aalam-e-maujud se aage
is saat-e-masud ka dhoka bhi ajab hai
tai hoti chali jati hai be-faiz masafat
is rah mein diwar ka aana bhi ajab hai
khilta nazar aata hi nahin hai gul-e-umid
jata hi nahin dil se ye dhaDka bhi ajab hai
is zist pe sahra ka guman tak nahin hota
ai naKHl-e-mohabbat tera saya bhi ajab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.