kuchh kaha ya suna nahin jata
kuchh kahā yā sunā nahīñ jaatā
dard ab ye sahā nahīñ jaatā
saḳht mushkil meñ haiñ ki pyāse haiñ
aur tum se kahā nahīñ jaatā
aa bhī jaao ki ab ye hālat hai
bin tumhāre rahā nahīñ jaatā
chhoḌ kar jaam pyāse mahfil se
be-adab yuuñ uThā nahīñ jaatā
'saif' be-parda sāmne hai vo
fāsla ab sahā nahīñ jaatā
kuchh kaha ya suna nahin jata
dard ab ye saha nahin jata
saKHt mushkil mein hain ki pyase hain
aur tum se kaha nahin jata
aa bhi jao ki ab ye haalat hai
bin tumhaare raha nahin jata
chhoD kar jam pyase mahfil se
be-adab yun uTha nahin jata
'saif' be-parda samne hai wo
fasla ab saha nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.