kuchh karne ki mohlat kam hai
kuchh karne kī mohlat kam hai
ab umroñ meñ barakat kam hai
aksar bāhar hī rahtā huuñ
kyā merā ghar jannat kam hai
chaiḌ jaatā huuñ laḌ jaatā huuñ
sach sahne kī aadat kam hai
un se aage kaise jā.ūñ
jin se merī qismat kam hai
raa.ī raa.ī dene vaale
mujh ko parbat parbat kam hai
saada saada bāteñ kiije
ab zehnoñ ko fursat kam hai
'momin' ke ash.ār sunāo
afsānoñ meñ lazzat kam hai
kuchh karne ki mohlat kam hai
ab umron mein barakat kam hai
aksar bahar hi rahta hun
kya mera ghar jannat kam hai
chaiD jata hun laD jata hun
sach sahne ki aadat kam hai
un se aage kaise jaun
jin se meri qismat kam hai
rai rai dene wale
mujh ko parbat parbat kam hai
sada sada baaten kije
ab zehnon ko fursat kam hai
'momin' ke ashaar sunao
afsanon mein lazzat kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.