Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh KHushi se hamin ishq-e-sitam-ijad nahin

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

kuchh KHushi se hamin ishq-e-sitam-ijad nahin

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    kuchh ḳhushī se hamīñ ishq-e-sitam-ījād nahīñ

    apne kahne meñ apnā dil-e-nāshād nahīñ

    tujh be-rahm koī aur sitam-ījād nahīñ

    dam bhī lene ijāzat dam-e-be-dād nahīñ

    ye nayā zulm hai yārab ki unhīñ va.ada

    ham unheñ yaad dilā.eñ vo kaheñ yaad nahīñ

    siikh jaatā hai bashar ishq ke sadme sah kar

    choT dil bhī kam az saili-e-ustād nahīñ

    jaan jā.egī sabr aa jā.egā

    hameñ aaj nahīñ dil-e-nāshād nahīñ

    yahī mahshar hai yahī va.ada-e-fardā hai din

    aap kyā bhuul ga.e aur mujhe yaad nahīñ

    yuuñ huā huuñ maiñ 'nazar' ishq-e-butāñ meñ kāfir

    maiñ to maiñ mere farishtoñ ko ḳhudā yaad nahīñ

    kuchh KHushi se hamin ishq-e-sitam-ijad nahin

    apne kahne hi mein apna dil-e-nashad nahin

    tujh sa be-rahm koi aur sitam-ijad nahin

    dam bhi lene ki ijazat dam-e-be-dad nahin

    ye naya zulm hai yarab ki unhin ka wada

    hum unhen yaad dilaen wo kahen yaad nahin

    sikh jata hai bashar ishq ke sadme sah kar

    choT dil ki bhi kam az saili-e-ustad nahin

    jaan hi jaegi ya sabr hi aa jaega

    ya hamein aaj nahin ya dil-e-nashad nahin

    yahi mahshar hai yahi wada-e-farda ka hai din

    aap kya bhul gae aur mujhe yaad nahin

    yun hua hun main 'nazar' ishq-e-butan mein kafir

    main to main mere farishton ko KHuda yaad nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now