kuchh lag kuchh lagaw mohabbat mein chahiye
kuchh laag kuchh lagāv mohabbat meñ chāhiye
donoñ tarah kā rañg tabī.at meñ chāhiye
ye kyā ki but bane hue baiThe ho bazm meñ
kuchh be-takallufī bhī to ḳhalvat meñ chāhiye
vo ibtidā-e-ishq meñ hāsil huī mujhe
jo baat intihā-e-mohabbat meñ chāhiye
ā.eñge be-shumār farishte azaab ke
maidān-e-hashr ġhair kī turbat meñ chāhiye
kuchh to paḌe dabāo dil-e-be-qarār par
paarā bharā huā mirī turbat meñ chāhiye
māshūq ke kahe kā burā mānte ho 'dāġh'
bardāsht aadmī kī tabī.at meñ chāhiye
kuchh lag kuchh lagaw mohabbat mein chahiye
donon tarah ka rang tabiat mein chahiye
ye kya ki but bane hue baiThe ho bazm mein
kuchh be-takallufi bhi to KHalwat mein chahiye
wo ibtida-e-ishq mein hasil hui mujhe
jo baat intiha-e-mohabbat mein chahiye
aaenge be-shumar farishte azab ke
maidan-e-hashr ghair ki turbat mein chahiye
kuchh to paDe dabao dil-e-be-qarar par
para bhara hua meri turbat mein chahiye
mashuq ke kahe ka bura mante ho 'dagh'
bardasht aadmi ki tabiat mein chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.