kuchh lagi dil ki bujha lun to chale jaiyega
kuchh lagī dil kī bujhā luuñ to chale jā.iyegā
ḳhair siine se lagā luuñ to chale jā.iyegā
maiñ za-ḳhud rafta huā sunte hī jaane kī ḳhabar
pahle maiñ aap meñ aa luuñ to chale jā.iyegā
rāsta ghere haiñ armān-o-qalaq hasrat-o-yās
maiñ zarā bhiiḌ haTā luuñ to chale jā.iyegā
pyaar kar luuñ ruḳh-e-raushan kī balā.eñ le luuñ
qadam āñkhoñ se lagā luuñ to chale jā.iyegā
mere hone hī ne ye roz-e-siyah dikhlāyā
apnī hastī ko miTā luuñ to chale jā.iyegā
chhoḌ kar zinda mujhe aap kahāñ jā.eñge
pahle maiñ jaan se jā luuñ to chale jā.iyegā
aap ke jaate hī 'bedam' kī sunegā phir kaun
apnī biitī maiñ sunā luuñ to chale jā.iyegā
kuchh lagi dil ki bujha lun to chale jaiyega
KHair sine se laga lun to chale jaiyega
main za-KHud rafta hua sunte hi jaane ki KHabar
pahle main aap mein aa lun to chale jaiyega
rasta ghere hain arman-o-qalaq hasrat-o-yas
main zara bhiD haTa lun to chale jaiyega
pyar kar lun ruKH-e-raushan ki balaen le lun
qadam aankhon se laga lun to chale jaiyega
mere hone hi ne ye roz-e-siyah dikhlaya
apni hasti ko miTa lun to chale jaiyega
chhoD kar zinda mujhe aap kahan jaenge
pahle main jaan se ja lun to chale jaiyega
aap ke jate hi 'bedam' ki sunega phir kaun
apni biti main suna lun to chale jaiyega
- Book : jigar parah armagaan bedam shaah (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.