kuchh mudawa na koi chaara hai
kuchh mudawa na koi chaara hai
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
kuchh mudāvā na koī chārā hai
ishq ne har kisī ko maarā hai
ġham salāmat rahe ḳhudāvandā
zindagī kā yahī sahārā hai
maut aa jaa.e to malūl na ho
bahr-e-ġham kā yahī kinārā hai
bārhā aap ke tasavvur meñ
vaqt guzrā huā guzārā hai
dil diyā ham ne go qusūr is meñ
kuchh hamārā hai kuchh tumhārā hai
is uchaTtī nigāh ke qurbāñ
Dūbne ko mujhe ubhārā hai
qahr jab tak tirā qubūl na ho
lutf bhī terā nāgavārā hai
husn vaalo ḳhatā muaaf magar
ishq jiitā hai husn haarā hai
ai ajal sirf lamha bhar ruk jā
phir ġham-e-hijr ne pukārā
ye ghaTā ye havā ye abr-e-sahar
koī samjhe to ik ishārā hai
kuchh mudawa na koi chaara hai
ishq ne har kisi ko mara hai
gham salamat rahe KHudawanda
zindagi ka yahi sahaara hai
maut aa jae to malul na ho
bahr-e-gham ka yahi kinara hai
barha aap ke tasawwur mein
waqt guzra hua guzara hai
dil diya hum ne go qusur is mein
kuchh hamara hai kuchh tumhaara hai
is uchaTti nigah ke qurban
Dubne ko mujhe ubhaara hai
qahr jab tak tera qubul na ho
lutf bhi tera nagawara hai
husn walo KHata muaf magar
ishq jita hai husn haara hai
ai ajal sirf lamha bhar ruk ja
phir gham-e-hijr ne pukara
ye ghaTa ye hawa ye abr-e-sahar
koi samjhe to ek ishaara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.