kuchh na is kaam mein kifayat ki
kuchh na is kaam meñ kifāyat kī
maiñ ne dil khol kar mohabbat kī
saste dāmoñ kahāñ maiñ biktā huuñ
bas tire vāste ri.āyat kī
kaam is shahr meñ ye mushkil thā
par tire ishq kī hifāzat kī
mujh ko ab kuchh gila nahīñ ḳhud se
maiñ ne jī bhar ke terī chāhat kī
maiñ to majbūr ho gayā us pal
jab tire hijr ne baġhāvat kī
kuchh na is kaam mein kifayat ki
main ne dil khol kar mohabbat ki
saste damon kahan main bikta hun
bas tere waste riayat ki
kaam is shahr mein ye mushkil tha
par tere ishq ki hifazat ki
mujh ko ab kuchh gila nahin KHud se
main ne ji bhar ke teri chahat ki
main to majbur ho gaya us pal
jab tere hijr ne baghawat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.