Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh na kuchh ki KHwahish mein be-nawa hue hum log

Noor Ahmad Naz

kuchh na kuchh ki KHwahish mein be-nawa hue hum log

Noor Ahmad Naz

MORE BYNoor Ahmad Naz

    kuchh na kuchh ḳhvāhish meñ be-navā hue ham log

    lā-ilāj mausam meñ lā-davā hue ham log

    ġham-gusār logoñ ne dil ko yuuñ jalā Daalā

    be-amān lamhoñ meñ be-ridā hue ham log

    muḳhtalif hue kitne iḳhtilāf karne par

    qāfile se bichhḌe to jā-ba-jā hue ham log

    'nāz' be-yaqīnī ke be-ġhilāf lamhoñ meñ

    apnī guuñj meñ chhup kar be-sadā hue ham log

    kuchh na kuchh ki KHwahish mein be-nawa hue hum log

    la-ilaj mausam mein la-dawa hue hum log

    gham-gusar logon ne dil ko yun jala Dala

    be-aman lamhon mein be-rida hue hum log

    muKHtalif hue kitne iKHtilaf karne par

    qafile se bichhDe to ja-ba-ja hue hum log

    'naz' be-yaqini ke be-ghilaf lamhon mein

    apni gunj mein chhup kar be-sada hue hum log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now