kuchh na kuchh sochne pe hun majbur
kuchh na kuchh sochne pe huuñ majbūr
log samjheñ agar mazāq-e-shu.ūr
ek be-nām sī talab ke liye
sar-ba-sajda huuñ nafratoñ ke huzūr
dhaḌkaneñ dil kī chāhtī haiñ jumūd
bolne par na kījiye majbūr
ek ummīd ke sahāre par
ghup añdheroñ ko kar rahā huuñ ubuur
rāh-e-manzil kā phir ta.ayyun kyā
har musāfir kā hai alag manshūr
maiñ ne aksar tarāsh kar dekhā
husn detā hai pattharoñ ko ġhurūr
us kī ḳhushbū ke dā.ere na ḳhutūt
log alfāz meñ rahe mahsūr
sānehe kā ḳhayāl aate hī
aadmī muḌ ke dekhtā hai zarūr
kis fazā meñ kaTī ye umr 'nazar'
saañs lene kā aa sakā na shu.ūr
kuchh na kuchh sochne pe hun majbur
log samjhen agar mazaq-e-shuur
ek be-nam si talab ke liye
sar-ba-sajda hun nafraton ke huzur
dhaDkanen dil ki chahti hain jumud
bolne par na kijiye majbur
ek ummid ke sahaare par
ghup andheron ko kar raha hun ubur
rah-e-manzil ka phir tayyun kya
har musafir ka hai alag manshur
main ne aksar tarash kar dekha
husn deta hai pattharon ko ghurur
us ki KHushbu ke daere na KHutut
log alfaz mein rahe mahsur
sanehe ka KHayal aate hi
aadmi muD ke dekhta hai zarur
kis faza mein kaTi ye umr 'nazar'
sans lene ka aa saka na shuur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.