kuchh na kuchh waqia sa lagta hai
kuchh na kuchh vāqi.a sā lagtā hai
bachcha bachcha Darā sā lagtā hai
phir koī hādisa na ho jaa.e
vaqt Thahrā huā sā lagtā hai
sāf-goī pasand kab hai use
saaf kahnā burā sā lagtā hai
zehn meñ nuur jab bikharte haiñ
sang bhī aa.ina sā lagtā hai
vo akelā zarūr hai lekin
us meñ ik qāfila sā lagtā hai
jo muqābil hai us se 'shahzar' kā
rishta kuchh ḳhuun kā sā lagtā hai
kuchh na kuchh waqia sa lagta hai
bachcha bachcha Dara sa lagta hai
phir koi hadisa na ho jae
waqt Thahra hua sa lagta hai
saf-goi pasand kab hai use
saf kahna bura sa lagta hai
zehn mein nur jab bikharte hain
sang bhi aaina sa lagta hai
wo akela zarur hai lekin
us mein ek qafila sa lagta hai
jo muqabil hai us se 'shahzar' ka
rishta kuchh KHun ka sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.