Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh nae KHwab har ek fasl mein pale gae hain

Saleem Sarfaraz

kuchh nae KHwab har ek fasl mein pale gae hain

Saleem Sarfaraz

MORE BYSaleem Sarfaraz

    kuchh na.e ḳhvāb har ik fasl meñ paale ga.e haiñ

    ham isī jurm meñ bastī se nikāle ga.e haiñ

    abhī zanjīr-e-junūñ paañv meñ Daale ga.e haiñ

    dekh kis samt tire chāhne vaale ga.e haiñ

    kaun is shahr-e-charāġhāñ meñ abhī aayā thā

    duur tak us ke ta.āqub meñ ujāle ga.e haiñ

    hākim-e-vaqt ke qadmoñ pe sabhī ibn-ul-vaqt

    rakh ke dastār ko sar apnā bachā le ga.e haiñ

    tīrgī kyuuñ na mire ḳhāna-e-hastī meñ rahe

    vo sabhī jalte charāġhoñ ko uThā le ga.e haiñ

    kyā kaheñ guzre hue vaqt ke baare meñ 'salīm'

    saḳhat mushkil se dil-o-jāñ ye sambhāle ga.e haiñ

    kuchh nae KHwab har ek fasl mein pale gae hain

    hum isi jurm mein basti se nikale gae hain

    abhi zanjir-e-junun panw mein Dale gae hain

    dekh kis samt tere chahne wale gae hain

    kaun is shahr-e-charaghan mein abhi aaya tha

    dur tak us ke taaqub mein ujale gae hain

    hakim-e-waqt ke qadmon pe sabhi ibn-ul-waqt

    rakh ke dastar ko sar apna bacha le gae hain

    tirgi kyun na mere KHana-e-hasti mein rahe

    wo sabhi jalte charaghon ko uTha le gae hain

    kya kahen guzre hue waqt ke bare mein 'salim'

    saKHat mushkil se dil-o-jaan ye sambhaale gae hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now