kuchh nahin aaftab rauzan hai
kuchh nahīñ āftāb rauzan hai
saath vaalā makān raushan hai
ye sitāre chahakte haiñ kitne
āsmāñ kyā kisī kā āñgan hai
chāñdnī hai safīr sūraj kī
chāñd to zulmatoñ kā madfan hai
aag hai kohsār ke nīche
barf to pairahan hai achkan hai
dā.imī zindagī kī hai zāmin
ye fanā jo baqā kī dushman hai
yaad tār-e-nafas pe chiḌiyā hai
vahshatoñ kā shumār dhaḌkan hai
bhīgtā huuñ tumhārī yādoñ meñ
ḳhat tumhārā mujhe to sāvan hai
dekhtā huuñ bichhaḌne vāloñ ko
ḳhvāb goyā ki dūrdarshan hai
naḳhl-e-gul ho kisī kā mujh ko kyā
mujh ko to ḳhār-o-ḳhas hī gulshan hai
tak rahā huuñ jahāñ ko hairat se
mujh meñ jaagā ye kaisā bachpan hai
aap mujh ko hī DhūñDte hoñge
sab se patlī mirī hī gardan hai
hañs diye merī baat sun kar vo
muskurā kar kahā ki bachpan hai
'ahmad' apnī misāl aap huuñ maiñ
haañ mirā sher merā darpan hai
kuchh nahin aaftab rauzan hai
sath wala makan raushan hai
ye sitare chahakte hain kitne
aasman kya kisi ka aangan hai
chandni hai safir suraj ki
chand to zulmaton ka madfan hai
aag hai kohsar ke niche
barf to pairahan hai achkan hai
daimi zindagi ki hai zamin
ye fana jo baqa ki dushman hai
yaad tar-e-nafas pe chiDiya hai
wahshaton ka shumar dhaDkan hai
bhigta hun tumhaari yaadon mein
KHat tumhaara mujhe to sawan hai
dekhta hun bichhaDne walon ko
KHwab goya ki durdarshan hai
naKHl-e-gul ho kisi ka mujh ko kya
mujh ko to KHar-o-KHas hi gulshan hai
tak raha hun jahan ko hairat se
mujh mein jaga ye kaisa bachpan hai
aap mujh ko hi DhunDte honge
sab se patli meri hi gardan hai
hans diye meri baat sun kar wo
muskura kar kaha ki bachpan hai
'ahmad' apni misal aap hun main
han mera sher mera darpan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.