kuchh nahin tere mere mein
kuchh nahīñ tere mere meñ
sab haiñ ek añdhere meñ
kaun falak pe Tahaltā hai
halke halke savere meñ
ek charāġh huuñ miTTī kā
dūr-darāz añdhere meñ
fikr kar agle paḌāv kī
baiTh faqīr ke Dere meñ
bojh ziyāda uThānā paḌe
shāyad dūsre phere meñ
āsmān par raushan haiñ
saat sitāre ghere meñ
chupke se khil uThThā hai
ek gulāb añdhere meñ
machhlī kā sab jhagḌā hai
dariyā aur machhere meñ
kuchh nahin tere mere mein
sab hain ek andhere mein
kaun falak pe Tahalta hai
halke halke sawere mein
ek charagh hun miTTi ka
dur-daraaz andhere mein
fikr kar agle paDaw ki
baiTh faqir ke Dere mein
bojh ziyaada uThana paDe
shayad dusre phere mein
aasman par raushan hain
sat sitare ghere mein
chupke se khil uThTha hai
ek gulab andhere mein
machhli ka sab jhagDa hai
dariya aur machhere mein
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 38)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.