kuchh pane ki hasrat mein jal jaane chale aae
kuchh paane kī hasrat meñ jal jaane chale aa.e
parvānoñ kī bastī meñ dīvāne chale aa.e
qīmat bhī na mil paa.ī mujh ko mire ashkoñ kī
ḳhidmat meñ sitam-gar ke nazrāne chale aa.e
allāh sitam kaisā be-dard zamāne kā
be-yār sutūnoñ ko sab Dhāne chale aa.e
jab zabt na kar paa.e iflās kī shiddat ham
bāzār-e-ġhulāmāñ meñ bik jaane chale aa.e
ik buuñd ko tarse haiñ ham jaise yahāñ 'tashna'
un ke dar-e-ā.alī par mai-ḳhāne chale aa.e
kuchh pane ki hasrat mein jal jaane chale aae
parwanon ki basti mein diwane chale aae
qimat bhi na mil pai mujh ko mere ashkon ki
KHidmat mein sitam-gar ke nazrane chale aae
allah sitam kaisa be-dard zamane ka
be-yar sutunon ko sab Dhane chale aae
jab zabt na kar pae iflas ki shiddat hum
bazar-e-ghulaman mein bik jaane chale aae
ek bund ko tarse hain hum jaise yahan 'tashna'
un ke dar-e-aali par mai-KHane chale aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.