kuchh roz main is KHak ke parde mein rahunga
kuchh roz maiñ is ḳhaak ke parde meñ rahūñgā
phir duur kisī nuur ke haale meñ rahūñgā
rakkhūñgā kabhī dhuup kī choTī pe rihā.ish
paanī kī tarah abr ke TukḌe meñ rahūñgā
ye shab bhī guzar jā.egī tāroñ se bichhaḌ kar
ye shab bhī maiñ kohsār ke darre meñ rahūñgā
sūraj kī tarah maut mire sar pe rahegī
maiñ shaam talak jaan ke ḳhatre meñ rahūñgā
ubhregī mire zehn ke ḳhaliyoñ se na.ī shakl
kab tak maiñ kisī barf ke malbe meñ rahūñgā
kuchh roz main is KHak ke parde mein rahunga
phir dur kisi nur ke haale mein rahunga
rakkhunga kabhi dhup ki choTi pe rihaish
pani ki tarah abr ke TukDe mein rahunga
ye shab bhi guzar jaegi taron se bichhaD kar
ye shab bhi main kohsar ke darre mein rahunga
suraj ki tarah maut mere sar pe rahegi
main sham talak jaan ke KHatre mein rahunga
ubhregi mere zehn ke KHaliyon se nai shakl
kab tak main kisi barf ke malbe mein rahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.