kuchh safine hain jo gharqab ikaTThe honge
kuchh safīne haiñ jo ġharqāb ikaTThe hoñge
aañkh meñ ḳhvāb tah-e-āb ikaTThe hoñge
jin ke dil joḌte ye umr bitā dī maiñ ne
jab marūñgā to ye ahbāb ikaTThe hoñge
muntashir kar ke zamānoñ ko khañgālā jaa.e
tab kahīñ jā ke mire ḳhvāb ikaTThe hoñge
ek hī ishq meñ donoñ kā junūñ zam hogā
pyaas yaksāñ hai to sairāb ikaTThe hoñge
mujh ko raftār chamak tujh ko ghaTānī hogī
varna kaise zar-o-sīmāb ikaTThe hoñge
us kī tah se kabhī daryāft kiyā jā.ūñgā maiñ
jis samundar meñ ye sailāb ikaTThe hoñge
kuchh safine hain jo gharqab ikaTThe honge
aankh mein KHwab tah-e-ab ikaTThe honge
jin ke dil joDte ye umr bita di main ne
jab marunga to ye ahbab ikaTThe honge
muntashir kar ke zamanon ko khangala jae
tab kahin ja ke mere KHwab ikaTThe honge
ek hi ishq mein donon ka junun zam hoga
pyas yaksan hai to sairab ikaTThe honge
mujh ko raftar chamak tujh ko ghaTani hogi
warna kaise zar-o-simab ikaTThe honge
us ki tah se kabhi daryaft kiya jaunga main
jis samundar mein ye sailab ikaTThe honge
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 48)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.