kuchh sochon ke kuchh fikron ke kuchh the ehsasat ke nam
kuchh sochon ke kuchh fikron ke kuchh the ehsasat ke nam
Amanullah Khalid
MORE BYAmanullah Khalid
kuchh sochoñ ke kuchh fikroñ ke kuchh the ehsāsāt ke naam
jitne bhī patthar aa.e sab ā.īna-e-jazbāt ke naam
un kī nigāheñ be-parvā haiñ kuchh bhī nahīñ jazbāt ke naam
vaqf kiye haiñ jin logoñ ne din ke ujāle raat ke naam
tapte hue sahrā meñ jaise shabnam kī be-rañg numūd
jaane kitne ḳhat likkhe haiñ maiñ ne bhī barsāt ke naam
vaqt ke hoñToñ pe raqsāñ haiñ mastī kā ik raag liye
sub.h-e-qayāmat ke hañgāme husn-e-maujūdāt ke naam
mauj-e-sukūñ ke saath mile zanjīr-e-alam be-tābī-e-dil
ham ne kitnī daulat paa.ī ulfat kī sauġhāt ke naam
un kī tamannā merī koshish bāham va.ade aur qasmeñ
kuchh merī taqdīr ke sadqe baaqī sab hālāt ke naam
sajī huī hai adab kī mahfil haal ke aise naġhmoñ se
be-maqsad be-kaif kitābeñ husn-e-taḳhlīqāt ke naam
hasrat-o-armāñ bazm-e-tasavvur dāman-e-sahrā dast-e-junūñ
ḳhushiyoñ ke paiġhām haiñ 'ḳhālid' ġham ke hasīñ lamhāt ke naam
kuchh sochon ke kuchh fikron ke kuchh the ehsasat ke nam
jitne bhi patthar aae sab aaina-e-jazbaat ke nam
un ki nigahen be-parwa hain kuchh bhi nahin jazbaat ke nam
waqf kiye hain jin logon ne din ke ujale raat ke nam
tapte hue sahra mein jaise shabnam ki be-rang numud
jaane kitne KHat likkhe hain main ne bhi barsat ke nam
waqt ke honTon pe raqsan hain masti ka ek rag liye
subh-e-qayamat ke hangame husn-e-maujudat ke nam
mauj-e-sukun ke sath mile zanjir-e-alam be-tabi-e-dil
hum ne kitni daulat pai ulfat ki saughat ke nam
un ki tamanna meri koshish baham wade aur qasmen
kuchh meri taqdir ke sadqe baqi sab haalat ke nam
saji hui hai adab ki mahfil haal ke aise naghmon se
be-maqsad be-kaif kitaben husn-e-taKHliqat ke nam
hasrat-o-arman bazm-e-tasawwur daman-e-sahra dast-e-junun
KHushiyon ke paigham hain 'KHalid' gham ke hasin lamhat ke nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.