kuchh taur nahin bachne ka zinhaar hamara
kuchh taur nahin bachne ka zinhaar hamara
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
kuchh taur nahīñ bachne kā zinhār hamārā
jī le hī ke jāvegā ye āzār hamārā
kūche se tire kuuch hai ai yaar hamārā
jī le hī chalī hasrat-e-dīdār hamārā
tū ham ko uThā lījiyo us vaqt ilāhī
jis vaqt uThe pahlū se dildār hamārā
yaarā hai kahāñ itnā ki is yaar ko yaaro
maiñ ye kahūñ ai yaar hai tū yaar hamārā
ham pādshah-e-mumlikat-e-ishq haiñ nāhaq
mansūr sā maarā gayā sardār hamārā
kah dījiyo makhūlī ko ai gardish-e-tāle.a
haañ jaldī se lā taḳht-e-havā-dār hamārā
abrū kī tirī bait kī kyā baat va-lekin
hai aah kā misra bhī dhuāñ-dār hamārā
'ehsāñ' tū ġhazal fārsī hī apnī kahā kar
dil reḳhta tere se hai bezār hamārā
kuchh taur nahin bachne ka zinhaar hamara
ji le hi ke jawega ye aazar hamara
kuche se tere kuch hai ai yar hamara
ji le hi chali hasrat-e-didar hamara
tu hum ko uTha lijiyo us waqt ilahi
jis waqt uThe pahlu se dildar hamara
yara hai kahan itna ki is yar ko yaro
main ye kahun ai yar hai tu yar hamara
hum padshah-e-mumlikat-e-ishq hain nahaq
mansur sa mara gaya sardar hamara
kah dijiyo makhuli ko ai gardish-e-talea
han jaldi se la taKHt-e-hawa-dar hamara
abru ki teri bait ki kya baat wa-lekin
hai aah ka misra bhi dhuan-dar hamara
'ehsan' tu ghazal farsi hi apni kaha kar
dil reKHta tere se hai bezar hamara
- Kulliyat-e-Ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.