kuchh to ahbab zara dil ke baDe hain mere
kuchh to ahbāb zarā dil ke baḌe haiñ mere
kuchh manāne ke tarīqe bhī na.e haiñ mere
sach to ye hai ki nishāne pe koī thā hī nahīñ
yuuñ bhī kuchh tiir nishāne pe lage haiñ mere
koī manzil ho inheñ ḳharch nahīñ kartā maiñ
ye qadam lauT ke aane ke liye haiñ mere
ye jo aa.e haiñ madad ko mirī anjān haiñ sab
saath vaale to kahīñ duur khaḌe haiñ mere
'ishq meñ jaan na dene kā hai afsos magar
kaam kuchh haiñ jo shahādat se baḌe haiñ mere
kuchh to ahbab zara dil ke baDe hain mere
kuchh manane ke tariqe bhi nae hain mere
sach to ye hai ki nishane pe koi tha hi nahin
yun bhi kuchh tir nishane pe lage hain mere
koi manzil ho inhen KHarch nahin karta main
ye qadam lauT ke aane ke liye hain mere
ye jo aae hain madad ko meri anjaan hain sab
sath wale to kahin dur khaDe hain mere
'ishq mein jaan na dene ka hai afsos magar
kaam kuchh hain jo shahadat se baDe hain mere
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 46)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.