kuchh to aise hain ki jin se phir mila jata nahin
kuchh to aise haiñ ki jin se phir milā jaatā nahīñ
ek vo bhī hai binā jis ke rahā jaatā nahīñ
hote hote maiñ pahuñch jaatā huuñ apne aap tak
is se aage aur koī rāsta jaatā nahīñ
kitnī dhīmī ho ga.ī hai aañch apne pyaar kī
ham dhueñ meñ ghir ga.e haiñ aur jalā jaatā nahīñ
kuchh to aise hain ki jin se phir mila jata nahin
ek wo bhi hai bina jis ke raha jata nahin
hote hote main pahunch jata hun apne aap tak
is se aage aur koi rasta jata nahin
kitni dhimi ho gai hai aanch apne pyar ki
hum dhuen mein ghir gae hain aur jala jata nahin
- Book : Kaghaz Ki Kashtiyan (Pg. 145)
- Author : Mustafa Shahab
- Publication : Qalam Publications, Mumbai (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.